Farogh-e-dida-o-dil Lala-e-sahar Ki Tarah
farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah
ujala ban ke raho sham-e-rahguzar ki tarah
payambaron ki tarah se jiyo zamane mein
payam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah
ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso
sitara ban ke jale bujh gae sharar ki tarah
Dara saki na mujhe tirgi zamane ki
andheri raat se guzra hun main qamar ki tarah
samundaron ke talatum ne mujh ko pala hai
chamak raha hun isi waste guhar ki tarah
tamam koh-o-til-o-bahr-o-bar hain zer-e-nagin
khula hua hun main shahin ke baal-o-par ki tarah
(806) Peoples Rate This