Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai
ek subh hai jo hui nahin hai
ek raat hai jo kaTi nahin hai
maqtulon ka qaht paD na jae
qatil ki kahin kami nahin hai
viranon se aa rahi hai aawaz
taKHliq-e-junun ruki nahin hai
hai aur hi karobar-e-masti
ji lena to zindagi nahin hai
saqi se jo jam le na baDh kar
wo tishnagi tishnagi nahin hai
aashiq-kushi o fareb-kari
ye shewa-e-dilbari nahin hai
bhukon ki nigah mein hai bijli
ye barq abhi giri nahin hai
dil mein jo jalai thi kisi ne
wo sham-e-tarab bujhi nahin hai
ek dhup si hai jo zer-e-mizhgan
wo aankh abhi uThi nahin hai
hain kaam bahut abhi ki duniya
shaista-e-admi nahin hai
har rang ke aa chuke hain firaun
lekin ye jabin jhuki nahin hai
(1140) Peoples Rate This