Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b87f8a44e93937d5c8f83d4ce4a86875, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
BaiThe Hain Jahan Saqi Paimana-e-zar Le Kar - Ali Sardar Jafri Poetry In English - Darsaal

BaiThe Hain Jahan Saqi Paimana-e-zar Le Kar

baiThe hain jahan saqi paimana-e-zar le kar

us bazm se uTh aae hum dida-e-tar le kar

yaadon se teri raushan mehrab-e-shab-e-hijran

DhunDhenge tujhe kab tak qindil-e-qamar le kar

kya husn hai duniya mein kya lutf hai jine mein

dekhe to koi mera andaz-e-nazar le kar

hoti hai zamane mein kis tarah pazirai

niklo to zara ghar se ek zauq-e-safar le kar

rahen chamak uTThengi KHurshid ki mashal se

hamrah saba hogi KHushbu-e-sahar le kar

maKHmal si bichha denge qadmon ke tale sahil

dariya ubal aaenge sad-mauj-e-guhar le kar

pahnaenge taj apna peDon ke ghane sae

niklenge shajar apne KHush-rang samar le kar

lapkenge gale milne sarw aur sanobar sab

uThenge gulistan bhi shaKH-e-gul-e-tar le kar

hanste hue shahron ki aawaz bulaegi

lab jam ke chamkenge sau shoala-e-tar le kar

aflak bajaenge saz apne sitaron ka

gaenge bahut lamhe anfas-e-sharar le kar

ye aalam-e-KHaki ek sayyara-e-raushan hai

aflak se Takra do taqdir-e-bashar le kar

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiThe Hain Jahan Saqi Paimana-e-zar Le Kar In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. BaiThe Hain Jahan Saqi Paimana-e-zar Le Kar is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem BaiThe Hain Jahan Saqi Paimana-e-zar Le Kar for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download BaiThe Hain Jahan Saqi Paimana-e-zar Le Kar in PDF.