Aqide Bujh Rahe Hain Sham-e-jaan Ghul Hoti Jati Hai
aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai
magar zauq-e-junun ki shoala-samani nahin jati
KHuda malum kis kis ke lahu ki lala-kari hai
zamin-e-ku-e-jaanan aaj pahchani nahin jati
agar yun hai to kyun hai yun nahin to kyun nahin aaKHir
yaqin mohkam hai lekin zid ki hairani nahin jati
lahu jitna tha sara sarf-e-maqtal ho gaya lekin
shahidan-e-wafa ke ruKH ki tabani nahin jati
pareshan-rozgar aashufta-haalan ka muqaddar hai
ki us zulf-e-pareshan ki pareshani nahin jati
har ek shai aur mahngi aur mahngi hoti jati hai
bas ek KHun-e-bashar hai jis ki arzani nahin jati
ye naghma naghma-e-bedari-e-jamhur-e-alam hai
wo shamshir-e-nawa jis ki daraKHshani nahin jati
nae KHwabon ke dil mein shoala-e-KHurshid-e-mahshar hai
zamir-e-hazrat-e-insan ki sultani nahin jati
lagate hain labon par mohr arbab-e-zaban-bandi
ali-'sardar' ki shan-e-ghazal-KHwani nahin jati
(911) Peoples Rate This