Ab Aa Gaya Hai Jahan Mein To Muskuraata Ja
ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja
chaman ke phul dilon ke kanwal khilata ja
adam hayat se pahle adam hayat ke baad
ye ek pal hai use jawedan banata ja
bhaTak rahi hai andhere mein zindagi ki baraat
koi charagh sar-e-rahguzar jalata ja
guzar chaman se misal-e-nasim-e-subh-e-bahaar
gulon ko chheD ke kanTon ko gudgudata ja
rah-e-daraaz hai aur dur shauq ki manzil
garan hai marhala-e-umr git gata ja
bala se bazm mein gar zauq-e-naghmagi kam hai
nawa-e-talKH ko kuchh talKH-tar banata ja
jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna
nazhad-e-nau ko tariq-e-junun sikhata ja
dikha ke jalwa-e-farda bana de diwana
nae zamane ke ruKH se naqab uThata ja
bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilen hain udas
koi tarana koi dastan sunata ja
(904) Peoples Rate This