Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c669c74b009ea9149d1b192f73c6ad4d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ek Fitri Amal Hai - Ali Sahil Poetry In English - Darsaal

Ye Ek Fitri Amal Hai

mohabbat

zindagi ka aarizi Thikana hai

aur

shahr mein tafrihi maqamat ki qillat

aabaadi mein izafe ki asal wajh

ye baat bahut kam log jaante hain

kirae ke makanon mein paida hone wale bachche

aankhon mein diwaren le kar paida hote hain

aur chhaton ke KHwab dekhte hue

zindagi ka ziyaada hissa

nakaami ka tana sunte hue guzar dete hain

tana sunne wali aankhon mein

aansu aur shikayat

ek fitri amal hai

jis ka radd-e-amal bhi

aabaadi mein izafe ki wajh ban sakta hai

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ek Fitri Amal Hai In English By Famous Poet Ali Sahil . Ye Ek Fitri Amal Hai is written by Ali Sahil . Read famous Poem Ye Ek Fitri Amal Hai for youth and Student by Ali Sahil . Free Download Ye Ek Fitri Amal Hai in PDF.