Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f9cc5165f3c1136277350b67b83574f0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kya Ki KHalq Ko Pura Dikhai Deta Hun - Ali Muzammil Poetry In English - Darsaal

Ye Kya Ki KHalq Ko Pura Dikhai Deta Hun

ye kya ki KHalq ko pura dikhai deta hun

magar main KHud ko adhura sujhai deta hun

ajal ko ja ke gareban se pakaD lae

main zindagi ko wahan tak rasai deta hun

main apne jism ke sab munqasim hawalon ko

ba-nam-e-rizq suKHan ki kamai deta hun

wo zindagi mein mujhe phir kabhi nahin milta

main apne KHwabon se jis ko rihai deta hun

mujhe sila na sataish na adl hai matlub

main apne samne apni safai deta hun

ye shor mera taKHatub nahin sunega 'ali'

main KHamushi ko mukammal sunai deta hun

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kya Ki KHalq Ko Pura Dikhai Deta Hun In English By Famous Poet Ali Muzammil. Ye Kya Ki KHalq Ko Pura Dikhai Deta Hun is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Ye Kya Ki KHalq Ko Pura Dikhai Deta Hun for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Ye Kya Ki KHalq Ko Pura Dikhai Deta Hun in PDF.