Shahr-e-dil Kunj-e-bayaban Nahin Tha Pahle
shahr-e-dil kunj-e-bayaban nahin tha pahle
main kabhi itna pareshan nahin tha pahle
baen pahlu mein jo ek sang paDa hai sakit
ye dhaDakta bhi tha be-jaan nahin tha pahle
shahryaron se marasim the bahut hi gahre
tira-baKHton se bhi anjaan nahin tha pahle
lafz ruThe hue rahte the qalam se aksar
jin se tajdid ka imkan nahin tha pahle
jab safar kaT liya hai to mila hai sab kuchh
sath mere koi saman nahin tha pahle
ab bhi be-nam basar hote hain auqat mere
dil mein tauqir ka arman nahin tha pahle
aaj chadar ke barabar hai mere qad ki bisat
main kisi shahr ka sultan nahin tha pahle
khae baiTha hai zamane se talluq ka fareb
tu 'ali' itna to nadan nahin tha pahle
(712) Peoples Rate This