Na Mah-ru Na Kisi Mahtab Se Hui Thi
na mah-ru na kisi mahtab se hui thi
hamein to pahli mohabbat kitab se hui thi
fareb-e-kul hai zamin aur namuna-e-azdad
ki ibtida hi gunah-o-sawab se hui thi
bas ek shab ki kahani nahin ki bhul saken
har ek shab hi mumasil itab se hui thi
wajud-e-chashm tha Thahre samundaron ki misal
numud-e-haalat-e-dil ek habab se hui thi
jaza-e-ishq-e-haqiqi rahi talab apni
KHata-e-ishq-e-majazi janab se hui thi
usi se tira-shabi mein hai manzaron ka wajud
wo raushni jo mashiyyat ke bab se hui thi
wahi to jehd-e-musalsal ki ibtida thi 'ali'
jab aashnai qadam ki rikab se hui thi
(746) Peoples Rate This