Meri Imlak Samajh Be-sar-o-samani Ko
meri imlak samajh be-sar-o-samani ko
ek muddat se main lahaq hun pareshani ko
ab ye mamul ke gham mujh ko rulane se rahe
sanehe chahiyen ashkon ki farawani ko
lauT aaegi jo aflak se fariyaad meri
kaun baKHshega sanad meri sana-KHwani ko
pesh-e-manzar bhi wahi tha jo pas-e-zat raha
gham ki miras mili aankh ki hairani ko
sina sad-chaak karo dil se na aghraaz karo
qaid rahne do abhi dasht mein zindani ko
maut bhi dekh ke angusht-ba-dandan hai 'ali'
marqad-e-zist se lipTi hui virani ko
(864) Peoples Rate This