KHasara-dar-KHasara Kar Liya Jae
KHasara-dar-KHasara kar liya jae
junun ko istiara kar liya jae
ye nuqta bhi qarin-e-maslahat hai
adawat ko gawara kar liya jae
darun-e-dil yam-e-afsurdagi hai
koi tinka sahaara kar liya jae
suKHan-hae bara-e-guftani se
ghazal ko shah-para kar liya jae
sar-e-ab-e-rawan sahra bichha kar
sarabon se kinara kar liya jae
ziya aankhon ki putli mein samo kar
andhere ka nazara kar liya jae
bhala kya khel hai kar-e-mohabbat
jo danista dobara kar liya jae
ye dil mein hai ki sare ashk pi kar
badan ko miTTi gara kar kiya jae
basani hai koi basti ki sahra
'ali' ab istiKHara kar liya jae
(820) Peoples Rate This