Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_77fe8e9c457a4ef99a681006780b581f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hasb-e-maqsud Ho Gaya Hun Main - Ali Muzammil Poetry In English - Darsaal

Hasb-e-maqsud Ho Gaya Hun Main

hasb-e-maqsud ho gaya hun main

rakh ka dud ho gaya hun main

ek kamre talak basirat hai

kitna mahdud ho gaya hun main

nam pahle barae-nam to tha

ab to mafqud ho gaya hun main

yun khinche muflisi mein sab rishte

jaise mardud ho gaya hun main

manfat banTta raha kal tak

aaj be-sud ho gaya hun main

shahr radd-o-qubul mein aa kar

bud-o-nabud ho gaya hun main

umr ki na-rasa masafat mein

gard-alud ho gaya hun main

huzn ki yas ki wadiat par

ain masud ho gaya hun main

bab-e-shahr-e-suKHan hua tha 'ali'

nutq-e-masdud ho gaya hun main

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasb-e-maqsud Ho Gaya Hun Main In English By Famous Poet Ali Muzammil. Hasb-e-maqsud Ho Gaya Hun Main is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Hasb-e-maqsud Ho Gaya Hun Main for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Hasb-e-maqsud Ho Gaya Hun Main in PDF.