Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b927d4dc99bccd3f71fae0dd61cbc106, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Bure Waqt Ke Afaal Badal Deta Hai - Ali Muzammil Poetry In English - Darsaal

Har Bure Waqt Ke Afaal Badal Deta Hai

har bure waqt ke afaal badal deta hai

ishq danaon ke aqwal badal deta hai

barg-e-jaan haiat-e-ajza ka pareshan sa juz

dekhte dekhte ashkal badal deta hai

waqt bedar magar hai to taghayyur ka asir

jo badalna ho ba-har-haal badal deta hai

ek zara sabr ki parwaz ka KHaliq yak-dam

waqt aane pe par-o-baal badal deta hai

koi majzub-e-ilah jazb-o-junun mein aa kar

kurra-e-arz ke abdal badal deta hai

hath aa jae agar nusKHa-e-aqawal-e-'ali'

ek ek qaul-e-mah-o-sal badal deta hai

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Bure Waqt Ke Afaal Badal Deta Hai In English By Famous Poet Ali Muzammil. Har Bure Waqt Ke Afaal Badal Deta Hai is written by Ali Muzammil. Read famous Poem Har Bure Waqt Ke Afaal Badal Deta Hai for youth and Student by Ali Muzammil. Free Download Har Bure Waqt Ke Afaal Badal Deta Hai in PDF.