Ek Turfa Tamasha Sar-e-bazar Banega
ek turfa tamasha sar-e-bazar banega
jo shaKHs bhi aaina-e-kirdar banega
ye baat bhi tai ho gai dahshat-zadagan mein
jo sang-ba-dast aaega sardar banega
rangon se na rakhiye kisi surat ki tawaqqo
wo KHun ka qatra hai jo shahkar banega
main us ke panapne ki dua mang raha hun
bachche ke ye tewar hain ki fankar banega
phir laKHt-e-jigar koela le aaya kahin se
ab dekhiye kya kya sar-e-diwar banega
yaksui se jab us ki taraf dekhoge 'ashar'
kuchh der mein mahtab ruKH-e-yar banega
(1325) Peoples Rate This