Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dd165da78b9b2985c2da3829c4343d07, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Usi Ke Liye - Ali Mohammad Farshi Poetry In English - Darsaal

Usi Ke Liye

main ne dekhi nahin

KHwab bunti hui ungliyan

jin ka lams-e-gudaz

waqt ke sard galon se bahta hua

mere honTon pe aaya

to sadiyon ki namkiniyan sang-basta dilon ke samundar mein

ubhre pahaDon ka ek silsila ban chuki thin

wo kya silsila tha

jo ek god se gor tak reshmi tar sa tan gaya

jis pe chalte zamane

KHudawand-e-ala ke ahkaam-e-rahmat uThae hue raqs karte guzarte

to miTTi pe naqsh-o-nigaran-e-gham muskuraate

tujhe yaad aate tujhe yaad karte hue

yun guzarte

ki jaise kisi bhed-bhao bhari chandni-raat se

chand ka bankpan

baadalon ke laDakpan ke gale uDate hue

KHwab-labrez pariyon se chhup chhup ke guzre

ye dikhne dikhane ki sari mashiyyat

ye chhupne chhupane ki sari aziyyat

koi jhelta hai

jo tu ne akele mein jheli

main kitne dinon baad aaya tere panw chhune

hisabaat computer se nikal kar

kise DhunDne ja chuke hain

baDi se baDi baat ko

ek bhigi hui muskurahaT mein kahne ka tujh ko saliqa tha

aadad o alfaz ki bhiD mein

kis qadar main akela hun

tujh ko KHabar hai

ata kar mujhe bhi

koi aisa achchha hunar

phul honTon ke

murda zamane pe rakkhun to

KHushbu teri

gul-badan ban ke jage

tere sans mein sans lene ki rahat

meri yaad ke bagh mein

ek jadu-zada nim-KHwabida shahzadi-e-zindagi ki tarah muntazir hai

yahan apne hone se kis ko mafar hai

koi nind mein jagne ki aziyyat nahin jaanta

apni jannat ka manzar mere malgaje KHwab par khol de

koi shirin-takallum mere zahr mein ghol de

fasla nind aur maut ke darmiyan

apni maujudgi se bana

kar ata mojazati hunar

main to noTon ki ginti mein uljhe zamane ki

wo mail hun

jis pe makkhi bhi aa kar nahin baiThti

(1474) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Ke Liye In English By Famous Poet Ali Mohammad Farshi. Usi Ke Liye is written by Ali Mohammad Farshi. Read famous Poem Usi Ke Liye for youth and Student by Ali Mohammad Farshi. Free Download Usi Ke Liye in PDF.