TuTam TuT Gaya
kitni aasani se us ne rakh diya
roTi ka pahiya
waqt ke chakkar ke bilkul samne
golaiyon ke darmiyan phir ek TukDa
taD ke lambe tane ka
jis ne apne bij se bahar nikalne ki saza mein
ek hi nuqte pe daim ghumne
aur rath ke niche aa ke kuchle jaane wali boTiyon ki
masKH lashon se guzarne ko muqaddar kar liya
wo to aise mashghalon mein mast hai
jis samt chahe jae ghume ya nai samten banae
meri kachchi shash-dari kuTiya ke bahar
ek khula maidan hai
maidan jis ke ek sire se dusre ko dekhne ki dur-bin bhi
sirf us ke khel ka saman hai
khel garche khel ki had tak bahut achchha laga
main ne bhi dekha
to apni taliyon ka taDtaData git us ki ok mein Dala
KHushi se bhar diya jholi ko us ki
aankh se umDe samundar aasmanon se gale milne lage
pyas lekin bujh nahin pai kisi bhi taur us ki
KHud-numai ki sataish mein taDapti zindagi daim rahegi
han magar ek umr kachchi bhurbhuri aadam ki miTTi se bani
khel ki ek umr hoti hai
jahan sare khilaune TuT jate hain chhanak se ek din
sans roke sansanati KHali rah jati hain galiyan waqt ki
suni kalai ki tarah
jis par kabhi shishe ki rangin chuDiyan aTkheliyan kheli na hon
laDle kanchon si umren
taliyon ki phul-jhaDiyon mein bikhar kar TuTti hain
aur us ke aasmani manzaron ki ek dulhan
dekhte hi dekhte charKHa saja kar baiTh jati hai
dukhon ki barf jaisi rui ka
aao apne KHwab ke resham se bahar
charKH-e-nili-fam ke TukDe chunen
(804) Peoples Rate This