Dao
phir ghumao
aaKHiri dao lagao
kya KHabar is bar aaKHir mil hi jae
bis billion sal ki wo gum-shuda punji mujhe
main
main kisi aise hi lamhe ke kinare
tujh se bichhDa
waqt ka chakkar ghuma kar
tu ne jab taqdir se miTTi juda ki
aur main ne
apni miTTi se judai
ye judai
aansuon mein gundh kar
rakkhi hui hai chaak par
in bis billion sal mein
is chaak par
main ne banai ek jannat
aur is jannat ki raunaq ek aurat
ghar mein ab tak muntazir hai
raat ka pichhla pahar hai
main jua-KHane mein tanha
zindagi ka aaKHiri dao lagane ja raha hun
rokna mat
teri jaanib aa raha hun
(882) Peoples Rate This