Mehman-dari
phaili hai fazaon mein KHushi meri nazar ki
hansti nazar aati hain fazaen mere ghar ki
dil-shad mere ahl-o-ayal aaj bahut hain
masruf hain wo bhi nahin masruf faqat main
rakhi hai saliqe se har ek kaam ki chiz aaj
mehman mere ghar mein hain kuchh mere aziz aaj
shadi ka makan ghar mera malum na ho kyun
majma ho jab itna to bhala dhum na ho kyun
bhai bhi hain bahnoi bhi bhawaj bhi bahan bhi
baiTha hai bhatija bhi bhatije ki dulhan bhi
bachchi idhar ek baiTh ke takti hai dulhan ko
kuchh tifl satate hain udhar apni bahan ko
bachchon pe jhalak KHas hai tanwir-e-sahar ki
uTh baiThe hain sab sunte hi aawaz gajar ki
dilkash ye faza subh ki ye nur ka taDka
bulbul ki tarah bol raha hai koi laDka
be-wajh koi rone pe aamada hua hai
hairat se nae gur ko koi dekh raha hai
baiTha hai ye chup dauD raha hai wo KHushi se
khane ke liye zid koi karta hai abhi se
karna hai jo saman-e-ziyafat ko faraham
aa aa ke mere kan mein kuchh kahti hain begam
hona hai jo KHubi se ziyafat ka sar-anjam
laDki ke zariye se bhi pahunchati hain paigham
aati bhi hain jati bhi hain begam su-e-matbaKH
mamaon mein be-waqt jahan hoti hai chaKH chaKH
rahat na mile kyun unhen halki tag-o-dau mein
sae ki tarah sath hai laDki bhi jilau mein
nannhi abhi uTThi nahin pahlu se phuphi ke
leti hain wo rah rah ke maze us ki hansi ke
laDke mere KHush ho ke udhar dekh rahe hain
iKHlas-o-mohabbat se muKHatib hun jidhar main
majma ye azizon ka mohabbat ki ye baaten
in pyar ki baaton mein na choTen hain na ghaten
anwar tabassum ke takallum se hain paida
zau subh ki is manzar-e-dil-kash pe hai shaida
baaton ka abhi tha tarabi silsila jari
nargis ne kaha aa ke hai tayyar nahaari
(861) Peoples Rate This