Bhulti Hui Yaad
tumhein jab yaad karta hun to ek miTti hui duniya
meri aankhon ke aaine mein pahron jhilmilati hai
kahin dam ghuT raha hai muskuraate surKH phulon ka
kahin kaliyon ke sine mein hawa ruk ruk ke aati hai
kahin kajla gae hain din ke chamkae hue zarre
kahin raaton ki hansti raushni gham mein nahati hai
wahi duniya jo kal tak dil ka daman tham leti thi
usi duniya ke har zarre mein ab be-iltifati hai
tamanna apni nakaami pe kanp uThti hai yun jaise
bagule mein koi sukhi si patti thartharaati hai
ghane kohre mein jaise Dhankte jate hon hare sabze
yun hi bite dinon ki shakl dhundli paDti jati hai
jawani ki andheri raat aadhi bhi nahin guzri
mohabbat ke diye ki lau abhi se thartharaati hai
(965) Peoples Rate This