Zulmat-kadon Mein Kal Jo Shua-e-sahar Gai
zulmat-kadon mein kal jo shua-e-sahar gai
tariki-e-hayat yakayak ubhar gai
nazzara-e-jamal ki fursat kahan mili
pahli nazar nazar ki hadon se guzar gai
izhaar-e-iltifat ke baad un ki be-ruKHi
ek rang aur naqsh-e-tamanna mein bhar gai
zauq-e-junun o jazba-e-bebak kya mile
viran ho ke bhi meri duniya sanwar gai
ab daur-e-karsazi-e-wahshat nahin raha
ab aarzu-e-lazzat-e-raqs-e-sharar gai
ek dagh bhi jabin pe meri aa gaya to kya
shoKHi to un ke naqsh-e-qadam ki ubhar gai
tare se jhilmilate hain mizhgan-e-yar par
shayad nigah-e-yas bhi kuchh kaam kar gai
tum ne to ek karam hi kiya haal puchh kar
ab jo guzar gai mere dil par guzar gai
jalwe hue jo aam to tab-e-nazar na thi
parde paDe hue the jahan tak nazar gai
sara qusur us nigah-e-fitna-ju ka tha
lekin bala nigah-e-tamanna ke sar gai
(924) Peoples Rate This