Zarra-e-na-tapida Ki KHwahish-e-aftab Kya
zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya
naghma-e-na-shunida ka hausla-e-rabab kya
umr ka dil hai muzmahil zist hai dard-e-mustaqil
aise nizam-e-dahr mein waswasa-e-azab kya
naghma ba-lab hain kiyariyan raqs mein zarra-e-tapan
sun liya kisht-e-KHushk ne zamzama-e-sahab kya
chehra-e-shab damak uTha surKH shafaq jhalak uThi
waqt-e-tulu kah gaya jaane aaftab kya
rindon se baz-purs ki pir-e-mughan se dil-lagi
aaj ye mohtasib ne bhi pi hai kahin sharab kya
shama thi lakh adh-jali bazm mein raushni to thi
warna gham-e-nashat mein raushni-e-gulab kya
ghair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin
kaun uThaega tujhe dekh raha hai KHwab kya
muddaton se KHalish jo thi jaise wo kam si ho chali
aaj mere sawal ka mil hi gaya jawab kya
han teri manzil-e-murad dur bahut hi dur hai
phir bhi har ek moD par dil mein ye iztirab kya
(1023) Peoples Rate This