Tere Halke Se Tabassum Ka Ishaara Bhi To Ho
tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho
ta sar-e-dar pahunchne ka sahaara bhi to ho
shikwa o tanz se bhi kaam nikal jate hain
ghairat-e-ishq ko lekin ye gawara bhi to ho
mai-kashon mein na sahi tishna-labon mein hi sahi
koi gosha teri mahfil mein hamara bhi to ho
kis taraf moD den TuTi hui kashti apni
aise tufan mein kahin koi kinara bhi to ho
hai gham-e-ishq mein ek lazzat-e-jawed magar
is gham-e-dahr se ai dil koi chaara bhi to ho
mai-kade bhar pe tera haq hai magar pir-e-mughan
ek kisi chiz pe rindon ka ijara bhi to ho
ashk-e-KHunin se jo sinche the bayaban hum ne
un mein ab lala o nasrin ka nazara bhi to ho
jam ubal paDte hain mai luTti hai KHum TuTte hain
nigah-e-naz ka dar-parda ishaara bhi to ho
pi to lun aankhon mein umDe hue aansu lekin
dil pe qabu bhi to ho zabt ka yara bhi to ho
aap is wadi-e-viran mein kahan aa pahunche
main gunahgar magar main ne pukara bhi to ho
(839) Peoples Rate This