Shikwe Hum Apni Zaban Par Kabhi Lae To Nahin
shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin
han magar ashk jab umDe the chhupae to nahin
teri mahfil ke bhi aadab ki dil Darta hai
meri aankhon ne durr-e-ashk luTae to nahin
chhan li KHak bayabanon ki viranon ki
phir bhi andaz-e-junun aql ne pae to nahin
lakh pur-wahshat o pur-haul sahi sham-e-firaq
hum ne ghabra ke diye din se jalae to nahin
ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki wo
na bulae na sahi dil se bhulae to nahin
hijr ki raat ye har Dubte tare ne kaha
hum na kahte the na aaenge wo aae to nahin
inqilab aate hain rahte hain jahan mein lekin
jo banane ka na ho ahl miTae to nahin
apni is shoKHi-e-raftar ka anjam na soch
fitne KHud uThne lage tu ne uThae to nahin
(842) Peoples Rate This