Rah-e-ulfat Mein Mile Aise Bhi Diwane Mujhe
rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe
jo maal-e-dosti aae the samjhane mujhe
ishq ki halki si pahli aanch hi mein jal bujhe
kya bhala dard-e-wafa denge ye parwane mujhe
ye to kahiye be-KHudi se mil gai kuchh aagahi
warna dhoka de diya tha chashm-e-bina ne mujhe
na-muradi luT hi leti mata-e-arzu
ek sahaara de diya ehsas-e-farda ne mujhe
kis se kahta dil ki baaten kis se sunta un ka raaz
bazm mein to sab nazar aate hain begane mujhe
tauba tauba na-ummidi ki KHayal-araiyan
dekhte hon jaise KHud lalcha ke paimane mujhe
mera ek adna sa partaw hai nizam-e-kaenat
kya samajh rakkha hai is mahdud duniya ne mujhe
jab kabhi dekha hai ai 'zaidi' nigah-e-ghaur se
har haqiqat mein mile hain chand afsane mujhe
(801) Peoples Rate This