Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d98ce7e141199ecaafa297995b346d50, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nind Aa Gai Thi Manzil-e-irfan Se Guzar Ke - Ali Jawwad Zaidi Poetry In English - Darsaal

Nind Aa Gai Thi Manzil-e-irfan Se Guzar Ke

nind aa gai thi manzil-e-irfan se guzar ke

chaunke hain hum ab sarhad-e-isyan se guzar ke

aankhon mein liye jalwa-e-nairang-e-tamasha

aai hai KHizan jashn-e-bahaaran se guzar ke

yaadon ke jawan qafile aate hi rahenge

sarma ke isi barg-e-pur-afshan se guzar ke

kanTon ko bhi ab baad-e-saba chheD rahi hai

phulon ke hasin chaak gareban se guzar ke

wahshat ki nai rahguzar DhunDh rahe hain

hum ahl-e-junun dasht o bayaban se guzar ke

ban jaega tara kisi mayus KHala mein

ye ashk-e-sahar gosha-e-daman se guzar ke

aawargi-e-fikr kidhar le ke chali hai

sar-manzil-e-azadi-e-insan se guzar ke

pai hai nigahon ne teri bazm-e-tamanna

raaton ko chinaron ke charaghan se guzar ke

ek gardish-e-chashm-e-karam ek mauj-e-nazara

kal shab ko mili gardish-e-dauran se guzar ke

milne ko to mil jae magar lega bhala kaun

sahil ka sukun shorish-e-tufan se guzar ke

ek nishtar-e-gham aur sahi ai gham-e-manzil

aa dekh to ek roz rag-e-jaan se guzar ke

ab dard mein wo kaifiyat-e-dard nahin hai

aaya hun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nind Aa Gai Thi Manzil-e-irfan Se Guzar Ke In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Nind Aa Gai Thi Manzil-e-irfan Se Guzar Ke is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Nind Aa Gai Thi Manzil-e-irfan Se Guzar Ke for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Nind Aa Gai Thi Manzil-e-irfan Se Guzar Ke in PDF.