Naya Mai-kade Mein Nizam Aa Gaya
naya mai-kade mein nizam aa gaya
uThin bandishen izn-e-am aa gaya
nazar mein wo kaif-e-dawam aa gaya
ki goya kisi ka payam aa gaya
mohabbat mein wo bhi maqam aa gaya
ki mizhgan pe KHun lab pe nam aa gaya
sar-e-rah kanTe bichhata hai shauq
junun ko bhi kuchh ehtimam aa gaya
na ilzam un par na aghyar par
ye dil aap hi zer-e-dam aa gaya
badal hi gaya bazm-e-ishrat ka rang
mera naghma-e-dard kaam aa gaya
kidhar se ye sanki mahakti hawa
kidhar se wo nazuk-KHiram aa gaya
tamasha nahin tha mera iztirab
koi kyun ye baala-e-baam aa gaya
bayan ho raha tha fasana mera
magar bar-bar un ka nam aa gaya
kabhi samne kuchh KHamoshi rahi
kabhi dur se kuchh payam aa gaya
jo dar-o-rasan se bhi rukta nahin
saron mein wo sauda-e-KHam aa gaya
wo 'zaidi' wahi rind-e-atish-nawa
wo zinda dilon ka imam aa gaya
(693) Peoples Rate This