Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c20c291ecb7ba594cfe9418721686e93, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kam-zarf Ehtiyat Ki Manzil Se Aae Hain - Ali Jawwad Zaidi Poetry In English - Darsaal

Kam-zarf Ehtiyat Ki Manzil Se Aae Hain

kam-zarf ehtiyat ki manzil se aae hain

hum zindagi ke jada-e-mushkil se aae hain

girdab mahw-e-raqs hai tufan mahw-e-josh

kuchh log shauq-e-mauj mein sahil se aae hain

ye waz-e-zabt-e-shauq ki dil jal bujha magar

shikwe zaban pe aaj bhi mushkil se aae hain

aankhon ka soz dil ki kasak to nain mili

mana ki aap bhi usi mahfil se aae hain

ye qashqa-e-KHulus hai zaKHm-e-jabin nahin

har chand hum bhi kucha-e-qatil se aae hain

dil ka lahu nigah se Tapka hai bar-ha

hum rah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain

dil ek udas subh nazar ek udas sham

kaise kahen ki dost ki mahfil se aae hain

chheDa tha nok-e-KHar ne lekin guman hua

taza payam parda-e-mahmil se aae hain

han gae ja mughanni-e-bazm-e-tarab ki aaj

naghme teri zaban pe mere dil se aae hain

(2089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kam-zarf Ehtiyat Ki Manzil Se Aae Hain In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Kam-zarf Ehtiyat Ki Manzil Se Aae Hain is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Kam-zarf Ehtiyat Ki Manzil Se Aae Hain for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Kam-zarf Ehtiyat Ki Manzil Se Aae Hain in PDF.