Junun Se Rah-e-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha
junun se rah-e-KHirad mein bhi kaam lena tha
har ek KHar se izn-e-KHiram lena tha
faraaz-e-dar pe daman kisi ka tham liya
junun-e-shauq ko bhi intiqam lena tha
hazar bar nataej se ho ke be-parwa
usi ka nam liya jis ka nam lena tha
ilaj-e-tishna-labi sahl tha magar saqi
jo dast-e-ghair mein hai kab wo jam lena tha
junun ki rah mein tadbir-e-sarKHushi ke liye
bas ek walwala-e-tez-gam lena tha
shikasta lakh thi kashti hazar tha tufan
KHayal mein koi daman to tham lena tha
nasim ek rawish tak pahunch ke tham si gai
ki na-shagufta kali ka payam lena tha
shab-e-firaq mein bhi kuchh diye chamakne lagen
nigah-e-shauq se itna to kaam lena tha
hazar bar teri bazm mein hua mahsus
liya jo ghair ne mujh ko wo jam lena tha
main ek jura-e-masti pe sulh kyun karta
mujhe to jam mein mah-e-tamam lena tha
ghazab hua ki in aankhon mein ashk bhar aae
nigah-e-yas se kuchh aur kaam lena tha
kisi ne aag lagai ho koi mujrim ho
hamein to apne hi sar ittiham lena tha
nigah-e-shoKH yahi fath aur kuchh hoti
jo gir rahe the unhen baDh ke tham lena tha
ye bazm-e-KHas ka aish-e-do-roza kya hoga
gham-e-awam se aish-e-dawam lena tha
(854) Peoples Rate This