Jo Maqsad Girya-e-paiham Ka Hai Wo Hum Samajhte Hain
jo maqsad girya-e-paiham ka hai wo hum samajhte hain
magar jin ko samajhna chahiye tha kam samajhte hain
zara mere junun ki kawish-e-tamir to dekhen
jo bazm-e-zindagi ko darham o barham samajhte hain
un aankhon mein nahin nashtar KHud apne dil mein pinhan hai
ab itni baat to kuchh hum bhi ai hamdam samajhte hain
ye un ki mehrbani hai ye un ki izzat-afzai
ki mere zaKHm ko wo laiq-e-marham samajhte hain
hum ahl-e-dil ne meayar-e-mohabbat bhi badal Dale
jo gham har fard ka gham hai usi ko gham samajhte hain
jhijakte se qadam bahki si nazren rukti si baaten
ye andaz-e-tajahul wo hai jis ko hum samajhte hain
suluk-e-dost bhi hai ek ishaara tez-gami ka
hum ahl-e-karwan aanchal ko bhi parcham samajhte hain
haTo ahl-e-KHirad ahl-e-junun ko jaane do aage
wahi kuchh rah-e-hasti ke ye pech o KHam samajhte hain
palak se is tarah Tapka ki goya ek kali chaTki
hum ahl-e-dard ashk-e-gham ko bhi shabnam samajhte hain
KHulus-e-zahiri rozana ek mahfil sajata hai
samajhte wo bhi hain lekin abhi kam kam samajhte hain
(762) Peoples Rate This