Ham-safar Gum Raste Na-paid Ghabraata Hun Main
ham-safar gum raste na-paid ghabraata hun main
ek bayaban dar bayaban hai jidhar jata hun main
bazm-e-fikr o hosh ho ya mahfil-e-aish o nashat
har jagah se chand nishtar chand gham lata hun main
aa gai ai na-muradi wo bhi manzil aa gai
mujh ko kya samjhaenge wo un ko samjhata hun main
un ke lab par hai jo halke se tabassum ki jhalak
us mein apne aansuon ka soz bhi pata hun main
sham-e-tanhai bujha de jhilmilati shama bhi
in andheron mein hi aksar raushni pata hun main
himmat-afza hai har ek uftad rah-e-shauq ki
Thokaren khata hun girta hun sambhal jata hun main
un ke daman tak KHud apna hath bhi baDhta nahin
apna daman ho to har kanTe se uljhata hun main
shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rahbar
mujh pe KHud bhi khul nahin pata kidhar jata hun main
(788) Peoples Rate This