Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse
dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujh se
ki zulm o jaur ka ye bojh uTh sakta nahin mujh se
agar ye kashmakash baqi rahi jahl o tamaddun ki
zamana chhin lega daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se
tumhin se kya chhupana hai tumhaari hi to baaten hain
jo kahti hai tamanna ki nigah-e-wapsin mujh se
nigahen chaar hote hi bhala kya hashr uTh jata
yaqinan is se pahle bhi mile hain wo kahin mujh se
dikha di main ne wo manzil jo in donon ke aage hai
pareshan hain ki aaKHir ab kahen kya kufr o din mujh se
ye mana zarra-e-awara-e-dasht-e-wafa hun main
nibhana hi paDega tujh ko duniya-e-hasin mujh se
sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hota hai
ki lakhon laghzishen har gam par hoti rahin mujh se
udhar sari tamannaon ka markaz aastan un ka
idhar barham tamanna par meri sarkash jabin mujh se
(680) Peoples Rate This