Aish Hi Aish Hai Na Sab Gham Hai
aish hi aish hai na sab gham hai
zindagi ek hasin sangam hai
jam mein hai jo mishal-e-gul-rang
teri aankhon ka aks-e-mubham hai
ai gham-e-dahr ke giraftaro
aish bhi sarnawisht-e-adam hai
nok-e-mizhgan pe yaad ka aansu
mausam-e-gul ki sard shabnam hai
dard-e-dil mein kami hui hai kahin
tum ne puchha to kah diya kam hai
miTti jati hai banti jati hai
zindagi ka ajib aalam hai
ek zara muskura ke bhi dekhen
gham to ye roz roz ka gham hai
puchhne wale shukriya tera
dard to ab bhi hai magar kam hai
kah raha tha main apna afsana
kyun tera daman-e-mizha nam hai
gham ki tarikiyon mein ai 'zaidi'
raushni wo bhi hai jo maddham hai
(865) Peoples Rate This