Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Mujhse Nazar Mila Ke
aankhon mein ashk bhar ke mujh se nazar mila ke
nichi nigah uTThi fitne nae jaga ke
main rag chheDta hun ima-e-husn pa ke
dekho to meri jaanib ek bar muskura ke
duniya-e-maslahat ke ye band kya thamenge
baDh jaega zamana tufan nae uTha ke
jab chheDti hain un ko gumnam aarzuen
wo mujh ko dekhte hain meri nazar bacha ke
didar ki tamanna kal raat rakh rahi thi
KHwabon ki rah-guzar mein shamen jala jala ke
duri ne lakh jalwe taKHliq kar liye the
phir dur ho gae hum tere qarib aa ke
sham-e-firaq aisa mahsus ho raha hai
har ek shai ganwa di har ek shai ko pa ke
aai hai yaad jin ki tufan-e-dard ban ke
wo zaKHm main ne aksar khae hain muskura ke
meri nigah-e-gham mein shikwe hi sab nahin hain
ek bar idhar to dekho nichi nazar uTha ke
ye dushmani hai saqi ya dosti hai saqi
auron ko jam dena mujh ko dikha dikha ke
dil ke qarib shayad tufan uTh rahe hon
dekho to sher 'zaidi' ek roz gunguna ke
(813) Peoples Rate This