Ghunda
maut banduq liye phirti hai
gali-kuchon mein dandanati hai
kan mein siTiyan bajati hai
aasman nak par uThati hui
Thokaron se zamin uDati hui
taKHtiyan ghaur se paDhti hai sab makanon ki
galiyan bakti guzarti hai har mohalle se
rezgari bhi churaati hai rose galle se
maut banduq liye phirti hai
koi ghar se nikal nahin pata
us ke Dar se nikal nahin pata
baDi dahshat hai us ki ghar ghar mein
maut jaise ki gali ka dada
jo kisi dusre mohalle se
bhatta lene ko jo aaya to palaT kar na gaya
rose galiyon mein aa nikalti hai
sab dukanon mein parchi girti hai
maut banduq liye phirti hai
(866) Peoples Rate This