Barish Ke Ghanghor Hawale Ginta Rahta Hun

barish ke ghanghor hawale ginta rahta hun

lamha lamha baadal kale ginta rahta hun

sadiyan guzrin KHwabon ko aankhon mein aae

palkon par makDi ke jale ginta rahta hun

upar wala manzil mujh ko dikhlata hai

aur main apne pair ke chhaale ginta rahta hun

tariki ki lashen ginna kitna mushkil hai

din ke aadam-KHor ujale ginta rahta hun

meri chhanw ke TukDe khata jata hai suraj

main aangan mein baiTh niwale ginta rahta hun

pani kitna upar ho to Dubunga main

kitne patthar ab tak Dale ginta rahta hun

duniya tare ginte ginte soti hai yar

main be-chaara chand ke haale ginta rahta hun

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barish Ke Ghanghor Hawale Ginta Rahta Hun In English By Famous Poet Ali Imran. Barish Ke Ghanghor Hawale Ginta Rahta Hun is written by Ali Imran. Read famous Poem Barish Ke Ghanghor Hawale Ginta Rahta Hun for youth and Student by Ali Imran. Free Download Barish Ke Ghanghor Hawale Ginta Rahta Hun in PDF.