Ab Koi Gham Hi Nahin Hai Jo Rulae Mujhko

ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujh ko

aisa mausam hi nahin hai jo rulae mujh ko

zaKHm mein dard nahin hai jo uThae Tisen

aankh mein nam hi nahin hai jo rulae mujh ko

chand naraaz nahin hai na sitare hain KHafa

raat barham hi nahin hai jo rulae mujh ko

mujh mein sab kuchh hi mukammal hai to kis baat ka dukh

kuchh kahin kam hi nahin hai jo rulae mujh ko

tere honTon se mere zaKHm chahak uTThenge

ye wo marham hi nahin hai jo rulae mujh ko

ai mere KHwab tu TuTe main nahin TuTunga

tujh mein wo dam hi nahin hai jo rulae mujh ko

tere jaane pe bhi afsurda nahin hai koi

tera matam hi nahin hai jo rulae mujh ko

(1062) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Koi Gham Hi Nahin Hai Jo Rulae Mujhko In English By Famous Poet Ali Imran. Ab Koi Gham Hi Nahin Hai Jo Rulae Mujhko is written by Ali Imran. Read famous Poem Ab Koi Gham Hi Nahin Hai Jo Rulae Mujhko for youth and Student by Ali Imran. Free Download Ab Koi Gham Hi Nahin Hai Jo Rulae Mujhko in PDF.