Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5e7a956477ae2cdd3376652c0bdbf0a8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Harim-kaba Bana Di Wo Sar-zamin Maine - Ali Akhtar Akhtar Poetry In English - Darsaal

Harim-kaba Bana Di Wo Sar-zamin Maine

harim-kaba bana di wo sar-zamin main ne

tere KHayal mein rakh di jahan jabin main ne

mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb

wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne

chaTak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin

suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne

rahin-e-manzil-e-wahm-o-guman raha 'aKHtar'

isi mein DhunDh liya jada-e-yaqin main ne

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harim-kaba Bana Di Wo Sar-zamin Maine In English By Famous Poet Ali Akhtar Akhtar. Harim-kaba Bana Di Wo Sar-zamin Maine is written by Ali Akhtar Akhtar. Read famous Poem Harim-kaba Bana Di Wo Sar-zamin Maine for youth and Student by Ali Akhtar Akhtar. Free Download Harim-kaba Bana Di Wo Sar-zamin Maine in PDF.