Dil Ki Aarzu Thi Dard Dard-e-be-dawa Paya

dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dawa paya

kya sawal tha mera aur kya jawab un ka

ishq ki latafat ko KHak-e-tur kya jaane

mujh pe thi nazar un ki mujh se tha KHitab un ka

aalam-e-tamanna hai KHwab ka sa ek aalam

shauq-e-na-tamam apna ishwa kaamyab un ka

kam na thi qayamat se subh-e-afrinash bhi

meri muztarib nazren aur intiKHab un ka

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Aarzu Thi Dard Dard-e-be-dawa Paya In English By Famous Poet Ali Akhtar Akhtar. Dil Ki Aarzu Thi Dard Dard-e-be-dawa Paya is written by Ali Akhtar Akhtar. Read famous Poem Dil Ki Aarzu Thi Dard Dard-e-be-dawa Paya for youth and Student by Ali Akhtar Akhtar. Free Download Dil Ki Aarzu Thi Dard Dard-e-be-dawa Paya in PDF.