UThenge Maut Se Pahle
uThenge maut se pahle usi safar ke liye
jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya
wo hum ki phul ki lau ko fareb dete the
qarib-e-sham sitaron ki rahguzar pe chale
wo hum ki taza jahan ke naqib-e-zan the nae
saba ki chaal se aage hamari chaal rahi
magar guman ke qadmon ne us ko tai na kiya
wahi safar jo hamare aur us ke bich raha
jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya
uTha ke hath mein neze pila ke aab-e-sarab
kamin-gah-e-hawas se nishane dil ke liye
tamam samt se aai shahabiyon ki sipah
hamari zat ko ghera misal-e-lashkar-e-sham
hazar bar ulajh ke phaTa libas-e-yaqin
magar Tali na kabhi us mubahise se zaban
jo sakinan-e-zamin aur hamare bich hua
rah-e-waqar pe baiThe the aaine le kar
jinhen sabaat pe koi bhi iKHtiyar na tha
thama ke hath mein gham ke buraq-e-dil ki inan
nikal gae na ruke ruh ki hadon se idhar
falak ke kohna dariche salam karte rahe
magar charagh ka saya abhi wajud mein hai
zarur apne hisaron mein lega nur-e-dimagh
sahar ke waqt baDhega ghunudgi ka asar
daraaz hoga wahin dard ke shabab ka qad
mila ghubar ki surat jahan nasib ka phal
jahan shikar hua hai meri zaban ka hunar
wahin se DhunD ke laenge aadmi ki KHabar
uThenge maut se pahle usi safar ke liye
(1184) Peoples Rate This