Surma Ho Ya Tara

dard ki lazzat se na-waqif KHushbu se manus na tha

mere ghar ki miTTi se wo shaKHs bahut begana tha

tare chunte chunte jis ne phul nazar-andaz kiye

KHwab kise malum nahin hain lams kise mahbub nahin

lekin jo tabir na jaane us ko ungh bhi lena aib

raat ki qimat hijr mein samjhi jis ne aansu nur bane

zaKHm se uThne wali Tisen os ki ThanDak piti hain

aaj na puchho dukhne lagi hai surme se kyun us ki aankh

jis ko sunahre din ka suraj kirnen banTne aata tha

patthar aaKHir patthar hoga surma ho ya tara ho

(1330) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surma Ho Ya Tara In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Surma Ho Ya Tara is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Surma Ho Ya Tara for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Surma Ho Ya Tara in PDF.