Safir-e-laila-4
harim-e-mahmil mein aa gaya hun salam le lo
salam le lo ki main tumhaara amin-e-qasid KHajil musafir aza ki wadi se lauT aaya
main lauT aaya magar sarasima is tarah se
ki pichhle qadmon palaT ke dekha na guzre raston ke faslon ko
jahan pe mere nishan-e-pa ab thake thake se gire paDe the
harim-e-mahmil mein wo safir-e-nawed-parwar
jise zamane ke past o baala ne itne qisse paDha diye the
jo pahle qarnon ki tirgi ko ujal dete
tumhein KHabar hai
ye mera sina qadim ahram mein akela wo ek haram tha
azim raazon ke kohna tabut jis ki kaDiyon mein bas rahe the
unhin hawaon ka Dar nahin tha
na sahra-zadon ke nasli ka hi un ki gird-e-KHabar ko pahunche
harim-e-mahmil mein wo amanat ka pasban hun
jo charm-e-ahu ke narm kaghaz pe likkhe name ko le ke nikla
wahi ki jis ke sawar hone ko tum ne baKHsha jahaz-e-sahra
tawil rahon mein KHali mashkon ka bar le kar hazar sadiyan safar mein gardan
kahin sarabon ki bahti chandi kahin chaTanon ki saKHt qashen
mayan-e-rah-e-safar khaDe the jakaDne wale nazar ke lobhi
magar na bhaTka bhaTakne wala
jo dam liya to aza mein ja kar
harim-e-mahmil suno fasane jo sun sako to
main chalte chalte safar ke aaKHir pe aisi wadi mein ja ke Thahra
aur us pe guzre haris lamhon ke un nishanon ko dekh aaya
jahan ke naqshe bigaD gae hain
jahan ke tabqe ulaT gae hain
wahan ki faslen zaqqum ki hain
hawaen kali hain rakh uD kar khanDar mein aise phunkarti hai
ki jaise azhdar chahaar jaanib se jabDe khole ghadar machate
zamin pe kina nikalte hon
kasif zahron ki thailiyon ko ghazab se bahar uchhaalte hon
muhib sae mein dewtaon ka raqs jari tha
TuTe hathon ki haDDiyon se wo dohl-e-baatil ko piTte the
zaif kawwon ne ahl-e-qarya ki qabren khodin
tu un ke naKHun nahif panjon se jhaD ke aise bikhar rahe the
chakondaron ne chaba ke phenke hon jaise haDDi ke KHushk reze
harim-e-mahmil wahi wo manzil thi jis ke sine pe main tumhaari nazar se pahuncha uThae mehr o wafa ke name
wahin pe baiTha tha sar-ba-zanu tumhaara mahram
khanDar ke bosida pattharon par hazin o ghamgin
wahin pe baiTha tha
qatl-namon ke mahzaron ko wo paDh raha tha
jo pastiyon ke kotah hathon ne us ki qismat mein likh diye the
harim-e-mahmil main apne naqa se niche utra to main ne dekha ki us ki aankhen KHamosh o viran
ghubar-e-sahra mizha pe larzan tha ret didon mein uD rahi thi
magar sharafat ki ek lau thi ki us ke chehre pe narm haala kiye hue thi
wo mere lahje ko jaanta tha
hazar manzil ki duriyon ke satae qasid ke ukhDe qadmon ki chap sunte hi uTh khaDa tha
dayar-e-wahshat mein bas raha tha
pe teri sanson ke zer-o-bam se uThi hararat se aashna tha
wo kah raha tha yahan se jao ki yan KHarabon ke kar-KHane hain
roz o shab ke jo silsile hain khule KHasaron ki manDiyan hain
wo Dar raha tha tumhaara qasid kahin KHasaron mein baT na jae
harim-e-mahmil main kya bataun wahin pe khoya tha mera naqa
faqat KHarabe ke chand lamhe hi us ke gude ko kha gae the
usi maqam-e-tilism-gar mein wo ustaKHwanon mein Dhal gaya tha
jahan pe bikhra paDa tha pahle tumhaare mahram ka asp-e-tazi
aur ab wo naqa ke ustuKHwan bhi
tumhaare mahram ke asp-e-tazi ke ustaKHwanon mein mil gae hain
harim-e-mahmil wahi wo patthar the jin pe rakkhe the main ne mehr o wafa ke name
jahan pe zinda ruton mein bandhe the tum ne paiman o ahd apne
magar wo patthar ki ab ajaib ki kargah hain
tumhaare name ki us ibarat ko kha gae hain
shifa ke hathon se jis ko tum ne raqam kiya tha
so ab na naqa na koi nama na le ke aaya jawab-e-nama
main na-murad o KHajil musafir
magar tumhaara amin qasid aza ki wadi se lauT aaya
aur us najib o karim mahram-e-wafa ke paikar ko dekh aaya
jo aane wale dinon ki ghaDiyan abad ki sanson se gin raha hai
(1324) Peoples Rate This