Safir-e-laila-3
safir-e-laila ye kya hua hai
shabon ke chehre bigaD gae hain
dilon ke dhage ukhaD gae hain
shafiq aansu nahin bache hain ghamon ke lahje badal gae hain
tumhi batao ki is khanDar mein jahan pe makDi ki sanaten hon
jahan samundar hon tirgi ke
siyah-jalon ke baadban hon
jahan payambar KHamosh leTe hon baaten karti hon murda ruhen
safir-e-laila tumhi batao jahan akela ho dastan-go
wo dastan-go jise kahani ke sab zamanon pe dastaras ho
shab-e-rifaqat mein tul-e-qissa charagh jalne talak sunae
jise zaban-e-hunar ka sauda ho zindagi ko sawal samjhe
wahi akela ho aur KHamoshi hazar sadiyon ki sans roke
wo chup lagi ho ki maut baam-e-falak pe baiThi zamin ke sae se kanpti ho
safir-e-laila tumhi batao wo aise dozaKH se kaise nipTe
dayar-e-laila se aae name ki nau ibarat ko kaise paDh le
purane lafzon ke istiaron mein gum mohabbat ko kyunke samjhe
safir-e-laila abhi malamat ka waqt aaega dekh lena
agar musir ho to aao dekho
yahan pe baiTho ye name rakh do
yahin pe rakh do inhi silon par
ki is jagah par hamari qurbat ke din mile the
wo din yahin par juda hue the inhi silon par
aur ab zara tum nazar uThao mujhe batao tumhaara naqa kahan gaya hai
buland TaKHnon se zard reti pe chalne wala sabih naqa
wo surKH naqa sawar ho kar tum aae jis par buri sara mein
wahi ki jis ki mahaar bandhi thi tum ne bosida ustuKHwan se
wo asp-e-tazi ke ustuKHwan the
mujhe batao safir-e-laila kidhar gaya wo
udhar to dekho wo haDDiyon ka hujum dekho
wahi tumhaara aziz sathi safar ka monis
pa ab nahin hai
aur ab uThao silon se name
paDho ibarat jo paDh sako to
kya Dar gae ho ki sath-e-kaghaz pe juz siyahi ke kuchh nahin hai
KHajil ho is par ki kyun ibarat ghubar ho kar nazar se bhagi
safir-e-laila ye sab karishme isi khanDar ne meri jabin par likhe hue hain
yahi ajaib hain jin ke sadqe yahan parinde na dekh paoge
aur sadiyon talak na utregi yan sawari
na chob-e-KHema gaDegi yan par
safir-e-laila ye mere din hain
safir-e-laila ye meri raaten
aur ab batao ki is aziyyat mein kis mohabbat ke KHwab dekhun
main kin KHudaon se nur mangun
magar ye sab kuchh purane qisse parai basti ke murda qaziye
tumhein fasanon se kya lagao
tumhein to matlab hai apne naqa se aur name ki us ibarat se
sath-e-kaghaz se jo uDi hai
safir-e-laila tumhaara naqa
main us ke marne par gham-zada hun
tumhaare ranj o alam se waqif baDe KHasaron ko dekhta hun
so aao us ki talafi kar dun ye mere shane hain baiTh jao
tumhein KHarabe ki kargah se nikal aaun
dayar-e-laila ko jaane wali habib rahon pe chhoD aaun
(1165) Peoples Rate This