Rah-zani KHub Nahin KHwaja-saraon Ke Liye
rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye
shor payal ka sar-e-rah na ruswa kar de
hath uThenge to kangan ki sada aaegi
tirgi fitna-e-shahwat ko hawa deti hai
chandni raqs pe majbur kiya karti hai
narm resham se bune shoKH dupaTTon ki qasam
log luTne ko sar-e-rah chale aaenge
is qadar aaenge bhar jaega phir raat ka dil
saKHt lahja gul-e-naghma mein badal jaega
KHun bahane ke ewaz itr-fishani hogi
hosh aaega to bikhre paDe honge ghungru
subh phir chaak libason ka tamasha hoga
rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye
(925) Peoples Rate This