Musibat Ki KHabren

musibat ki KHabren

suno sham walo musibat ki KHabren

gareban daman talak chaak kar do

saron par sawaron ki rondi hui KHak Dalo

abu-qais ko maut ne kha liya hai

amir-e-damishq in dinon sogwari mein hain

ghamon ke andheron mein jakDe hue

huzn ki aag se un ka dil jal gaya

aah bu-qais ki maut ke bar se jhuk gae hain KHalifa ke shane

abu-qais kya tha tumhein kya KHabar sham walo

abu-qais baDe shahsawaron mein tha

wo KHalifa ka raaz-ashna, bandagan-e-KHuda mein muqarrab

yazid-ibn-e-maisun ki shab ka sathi

abu-qais hinda ke pote ka tanha sahaara

wahi surKH bandar

jo maisun apne qabile se lai

bahut shauq se nam us ka abu-qais rakha

phir apni amanat arab aur ajam ke KHalifa ko saunpi

usi sahib-e-taKHt-o-taj-o-tarab ko

jise aaj islam ki pasbani ka pura sharaf hai

usi ka aur abu-qais bandar

KHuda us ko baKHshe

use ghuD-sawari mein aisi mahaarat thi jis ka bayan karna qudrat se bahar

kisi shKHs-e-bad-baKHt ne us ke ghoDe ko bidka diya

us ke panw rikabon se nikle

abu-qais niche gira aur milon talak Thokaron par raha

aah kis be-kasi mein adam ko sidhaara

musibat, musibat

suno ahl-e-islam

abu-qais ki maut aisa baDa saneha hai

ki jis ki musibat se aal-umayya ke qasron mein rakh aur dhuan bhar gaya hai

dua!

dua ki zarurat

abu-qais ki maghfirat ke liye

aur yazid-ibn-e-hinda ke sabr o jaza ke liye

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musibat Ki KHabren In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Musibat Ki KHabren is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Musibat Ki KHabren for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Musibat Ki KHabren in PDF.