Mere Charagh Bujh Gae
mere charagh bujh gae
main tirgi se raushni ki bhik mangta raha
hawaen saz-baz kar rahi thin jin dinon siyah raat se
unhi siyah saaton mein saneha hua
tamam aaine ghubar se be-nur ho gae
sara ke chaar samt haul-nak shab ki KHamushi
chamakti aankh wale bheDiyon ke ghol le ke aa gai
qaba-e-zindagi wo phaD le gae nukile naKHunon se us tarah
ki ruh chithaDon mein baT gai
KHarab mausamon ki chaal thi ki aas-pas banbiyon se
aa gae nikal ke sanp jhumte hue
bujha diya safed raushni ka dil
madad ko main pukarta tha aur dekhti thin putliyan tamasha ghaur se
magar na aain bin le ke amn wali bastiyon se jogiyon ki Toliyan
siyah aandhiyon ka zor kab talak sahaarte
mere charagh bujh gae
(758) Peoples Rate This