Charwahe Ka Jawab

aag barabar phenk raha tha suraj dharti walon par

tapti zamin par lu ke bagule KHak uDate phirte the

nahr kinare ujDe ujDe peD khaDe the kikar ke

jin par dhup hansa karti hai waise un ke sae the

ek charwaha bheDen le kar jin ke niche baiTha tha

sar par maila safa tha aur kulhaDi thi hathon mein

chalte chalte charwahe se main ne itna puchh liya

ai bheDon ke rakhwale kya log yahan ke dana hain

kya ye sach hai yan ka hakim nek bahut aur aadil hai

sar ko jhuka kar dhundli aankhon wala dhime se bola

baadal kam kam aate hain aur barish kab se ruThi hai

nahren band paDi hain jab se sari dharti sukhi hai

kuchh salon se kikar par bhi phalliyan kam hi lagti hain

meri bheDen pyasi bhi hain meri bheDen bhuki hain

(1111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charwahe Ka Jawab In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Charwahe Ka Jawab is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Charwahe Ka Jawab for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Charwahe Ka Jawab in PDF.