Be-yaqin Bastiyan

wo ek musafir tha ja chuka hai

bata gaya tha ki be-yaqinon ki bastiyon mein kabhi na rahna

kabhi na rahna ki un pe itne azab utrenge jin ki ginti adad se bahar

wo apne murde tumhaare kandhon pe rakh ke tum ko juda karenge

tum un janazon ko qarya qarya liye phiroge

falak bhi jin se na-ashna hai jinhen zaminen bhi rad karengi

wo kah gaya tha hamesha zillat se dur rahna

ki bad-nasibon ka rizq-e-awwal unhin zaminon se paida hota hai

jin zaminon pe bhuri giddhon ki nochi haDDi ke reze bikhrin

tum apni rae ko istaqamat ki aab dena

jise pahaDon ki KHushk sangin bulandiyon se KHiraj bhejen

ghulam zehnon pe aisi lanat ki rasm rakhna

jo teri naslon phir un ki naslon phir un ki naslon talak bhi jae

tumhein KHabar ho sharif logon ki unchi gardan lachak se aise hi be-KHabar hai

sawad-e-ghurbat mein KHema-gahon ki jaise gaDi hon KHushk choben

kabhi na shane jhuka ke chalna

ki past-qamat tumhaare qadmon se apne qadmon ko joD denge

wahi nahusat tumhein KHarabon ki pasbani ata karegi

sarab-ankhon ke raston se tumhaare gurdon mein ret phenkenge aur sine ko kaT denge

wo kah gaya tha yahi wo illat ke mare wahshi hain jin ki apni zaban nahin hai

ye jhag uDate hain apne jabDon se lajlaje ka to gaDgaDahaT ka shor uThta hai

aur badbu bikherta hai

yahi wo bad-baKHt be-hunar aur be-yaqin hain ki jin ki diyat na KHun-baha hai

so in ki qurbat se dur rahna najat-e-dil ka sabab banega

wo ek musafir tha kah gaya hai

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-yaqin Bastiyan In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Be-yaqin Bastiyan is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Be-yaqin Bastiyan for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Be-yaqin Bastiyan in PDF.