Hawa Ke TaKHt Par Agar Tamam Umr Tu Raha

hawa ke taKHt par agar tamam umr tu raha

mujhe KHabar na ho saki pa sath sath main bhi tha

chamakte nur ke dinon mein tere aastan se dur

wo main ki aaftab ki safed shaKH par khila

hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par

yahi sabab hai tere dar pe lauT kar na aa saka

wo kis makan ki dhup thi, gali gali mein bhar gai

wo kaun sabza-ruKH tha jo ki mom sa pighal gaya

kabhi to chal ke dekho sae pipalon ke des ke

jahan laDakpana hamare hath se juda hua

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke TaKHt Par Agar Tamam Umr Tu Raha In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Hawa Ke TaKHt Par Agar Tamam Umr Tu Raha is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Hawa Ke TaKHt Par Agar Tamam Umr Tu Raha for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Hawa Ke TaKHt Par Agar Tamam Umr Tu Raha in PDF.