Harim-e-dil, Ki Sar-ba-sar Jo Raushni Se Bhar Gaya
harim-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushni se bhar gaya
kise KHabar, main kin diyon ki rah se guzar gaya
ghubar-e-shahr mein use na DhunD jo KHizan ki shab
hawa ki rah se mila, hawa ki rah par gaya
tere nawah mein raha magar miyan-e-din-o-dil
gajar baja to ji uTha, suni azan to mar gaya
safed pattharon ke ghar, gharon mein tirgi ke gham
hazar gham ka ek ye ki tu bhi be-KHabar gaya
nagar hain aaftab ke, barahana gumbadon ke sar
saron pe nur ke kalas, main nur mein utar gaya
(800) Peoples Rate This