GhanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib
ghanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib
chhoD jata main tera ganw magar mere nasib
dhup phaili to kaha diwar ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musafir, mere sae ke habib
lauT aae hain shafaq se log be-nil-e-muram
rang palkon se uTha lae magar tere najib
main wo pardesi nahin jis ka na ho pursan koi
sabz baghon ke parinde mere watanon ke naqib
(796) Peoples Rate This